Besabab baat badhaane ki zaroorat kya hai
Besabab baat badhaane ki zaroorat kya hai,
hum khafa kab thay manane ki zaroorat kya hai,
aap ke dam se to duniya ka bharam hai qayam,
aap jab hain to thikaane ki zaroorat kya hai,
teri khushi,
tera dar,
tera gussa kaafi hai,
bethikaano ko thikaane ki zaroorat kya hai,
dil se milne ki tamanna he nahi jab,
dil mein haathon se haath milaane ki,
zaroorat kya hai,
rang aankhon ke liye buu hai demagon ke liye,
phool ko haath lagaane ki zaroorat kya hai
Submitted By: Hardeep on 28 -Jan-2010 | View: 1214
|