Kya main bewafa houn?
Usne kaha tum mein pehli si baat nahi,
maine kaha!
zindagi mein tera sath nahi,
usne kaha
ab bhi kisi ki ankhon main doob jatey ho??,
maine kaha
ab kisi ankh mein woh gehrayee nahi!,
usne kaha
kyun itna toot kar chaha mujhe,
main nay kaha
insaan hun pather to nahi,
usne kaha
kya main bewafa houn?,
maine kaha
mujhe ab wafa ki talash hi nahi,
usne kaha
bhool ja mujh ko,
maine kaha
tum haqeqat ho koi khawab to nahi
Submitted By: Rajat on 19 -Jan-2010 | View: 1415
|