Apni kismat mein barsaat nahi
Tum puchho aur main na
bataaun aise to haalaat nahi,
ek zara saa dil toota
hai aur to koi baat nahi,
kiss ko khabar thi saanwle
baadal bin barse urr jaate hain,
saawan aaya lekin apni
kismat mein barsaat nahi,
toot gayaa jab dil to phir ye
saans ka naghma kia maani,
goonj rahee hay kyon
shehnayee jab koi baraat nahi,
gham ke andhere main tujh ko
apna saathi kyon samjhoon,
tu phir tu hai mera to
saaya bhi mere saath nahi,
maana jeewan main aurat
ek baar muhabbat karti hai,
lekin mujh ko ye bataa de
ki tu aurat zaat nahi,
khatam hua mera afsana
ab ye ansoo ponchh bhi lo,
jiss mein koi taara chamke
aaj ki raat wo raat nahi,
mere ghumgeen hone par
ehbaab hain youn heraan qateel,
jais main patther hoon
mere seene mein jazbaat nahi.
Submitted By: Govind on 11 -Apr-2010 | View: 2302
|