Tune thaam liya haath gair ka
Yaad dil se teri main bhulaane chali,
teri har nishaani ko dil se mitaane chali,
yun tou yaad tujhe main din raat karti hoon,
aaj tu nahi hai yeh dil ko main samjhaane chali,
tujhse kabhi zindagi jeene ka bahana milta,
aaj ussi zindagi par khaakh udaane chali,
tune thaam liya haath gair ka mujhe khwaab dikhakar,
aaj teri tasveer ke saath khudko jalaane chali,
tu kar ke vadaa mujhse milne ka phir kabhi na aaya,
yehi vadaa ab dil mein liye raahon per teri aane chali,
todi kasame wafa ki tune tou bas iss zamaane ke liye,
zamaane se bagawat karke teri kasmon ko main tou nibhaane chali..
Submitted By: Sunidhi on 13 -Jan-2010 | View: 1945
|