Zakhm diya banke dost humaara
Kya khubsoorat zakhm diya banke dost humaara,
rahega yaad woh bharam diya banke dost humara,
andaaz dekhiye zakhm-e-dil dene ka unka,
ilzaam bhi hum pe lagaate hain banke rahbar humara,
karam toh dekhiye mouz-e-ghazal dene ka unka,
na-qaabil dost ho tum aaj kahaa hai banke aftaab hamara,
ilzaam lagaane ka hai bada hi shurfiyaana andaaz unka,
tanhai mein hi toh lagaya hai ilzaam banke khairkhwaah hamara,
mere zakhm par namak bhi lagaya hai marham ki tarah,
ghusl-e-kafan bhi diya hai janaab ne banke dost hamara.
Submitted By: Sahil on 25 -Feb-2010 | View: 1755
|