Tu jo ro de to duniya ko rula diya karoon main
Teri aankhon ke aansoo ki kya keemat wasool karoon main,
tujhe rulane waale se kya sulook karoon main,
hain tere apne hi tere dushman,
warna tera naam bhi lene waale ko mita diya karoon main,
kyon tere aansoo dekh nahi pata main,
tu jo ro de to duniya ko rula diya karoon main,
tere zakham kya mere nahi hain,
dil kare tere har zakham ko bhar diya karoon main ,
dil chahe tujhe har khushi diya karoon main,
duniya ki sari nafraton ko mohabbat mein badal diya karoon main,
hargiz na kar payenge mujhe tuhj se door zamaane waale,
tere ek pukaar par sari doorian mita diya karoon main. ,
Submitted By: Sumit Rana on 24 -Jan-2010 | View: 1706
|