Pyaar ki kami
Meri zindgi mein kisi k pyaar ki kami si rahi,
tamaam umar mohabbat se meri dushmani si rahi.,
har koi mila mujhse,
par wo apnaapan naa mila,
bhari mehfilo mein bhi hamein tanhaai si lagi,
tamaam umar mohabbat se meri dushmani si rahi.,
ishe kahu apni kismat ya waqt ka fer kahu,
dushmano ki to kya,
dosto ki nigaah mein tavjjo naa rahi,
tamaam umar mohabbat se meri dushmani si rahi.,
raha tha jo kabhi mere dil mein jaan bankar,
usko hi meri surat ab anjaani si lagi,
tamaam umar mohabbat se meri dushmani si rahi.,
jiski talaash mein bhatakta fira har jagah,
wo khushiya humse hardum roothi si rahi,
tamaam umar mohabbat se meri dushmani si rahi.,
meri zindgi mein kisi k pyaar ki kami si rahi.
Submitted By: Rajat on 19 -Mar-2010 | View: 1825
|