Aankhein bheeg jati hain
Samandar mein utarta hoon to aankhein bheeg jati hain,
teri aankhon ko parhta hoon to aankhein bheeg jati hain.
tumhara naam likhne ki ijaazat chhin gaye jab se,
koi bhi lafz likhta hoon to aankhein bheeg jaati hain.
teri yadoon ki khushboo khidkiyon mein rakhs karti hai,
tere gham mein sulaghta hoon to aankhen bheeg jati hain.
na jane ho gaya hoon is qadar hataash main kab se,
kisi se baat karta hoon to aankhein bheeg jaati hain.
wo sab guzre lamhaat mujh ko yaad aate hain,
tumhare khat jo phadta hoon to aankhein bheeg jaati hain.
main saraa din bahut masroof rehta hoon magar jyon hi,
qadam chaukhat pe rakhta hoon to aankhein bheeg jati hain.
hazaron mosamoon ki hukumrani hai mere dil par,
"Azeem" main jab bhi hansta hoon to aankhein bheeg jaati hain,
Submitted By: Mukesh Rastogi on 24 -Apr-2010 | View: 1694
|