Dil ko manaana agar hota aasan
dil ko manaana agar hota aasan,
na kerta yeh har kisi ko yun pareshaan,
tanhaa na rehta bhari mehfil mein main,
na hoti woh haalat jo ho na bayaan,
sukh jaate hain lab, lafz milte nahin,
hota nahin hum se ishq bayaan,
unhe kaise bataaein dil ki lagi,
kaise sikhaon aankhon ki zubaan.
Submitted By: Sahil on 04 -Feb-2010 | View: 2495
|