Deewana bana deti hain aankhen
Dil ki batain bata deti hain aankhen,
dharkanon ko jaga deti hain aankhen,
dil pe chalta nahi jadoo chehron ka kabhi,
dil ko to deewana bana deti hain aankhen,
woh hum se baat nahi karte to na kare,
haal saara unke dil ka suna deti hain aankhen,
gham sada rehta nahi aadmi ke saath,
ashk bana kar chhalka deti hain aankhen,
aata hai jab jawaani ka daur to ae dosto,
sunder sapne zehan mein basaa deti hain aankhen,
maana ke neend aati hai aankhon hi ke raste,
magar kabhi kabhi neend uda deti hain aankhen.
Submitted By: Satish on 16 -Feb-2010 | View: 3057
|