Ae waqt zara thahar jaa
Ae waqt zara thahar jaa ke woh meri baahon mein hai,
jism hai zameen par aur rooh hawaaon mein hai,
haseen vaadiyan dekhoon ya husn-e-haseen tera,
tujh mein hai woh sab nazaare jo fizaaon mein hai,
nasaaz tabiyat ki fikr tujhe kyon,
unke deedar mein hai woh shifa jo dawaaon mein hai.
Submitted By: Harpreet on 11 -Mar-2010 | View: 7382
|