Patta jab tak ped par he Jhumta lahrata he
Patta jab tak ped par he Jhumta lahrata he,
Andhi or tufaan se ped usko bachata he,
Pate ka hawa ke saath jhumane ko dil machlata he,
Ped usko tahani ke saath chipkne ko kahta he,
Ek din wo hawa ke saath ud jaata he Door tak,
hawa ke saath lahrata jaata he,
Waah kya maza a raha he hawa ke saath,
Par wo nahi janta jab hawa ka rukh badal jaata he,
Wahi pata udta huwa jami pe a jaata he
Or behraham logo ke pero tale round diya jaata he
Round diya jaata he
Submitted By: Vikram on 07 -Jun-2011 | View: 3539
|