Usay chaahte rehna
Laakh dukh uthaao,
tum koshish karte rehna,
"azeem" isi tarhan toot ke usay chaahte rehna,
wo yaad na kare tum ko yeh us ka amall hai,
tum khud se zyada usay yaad karte rehna,
yeh jaan lo ke rona us ko aata nahi tum par,
khair tum aise hi ehed nibhaate rehna,
aansoo ki tumhare koi kimat nahi hai,
us ki yaad mein yu hi tum ashk bahaate rehna,
kabhi tadpegee wo,
kabhi to bekaraar hogi,
dastaan tum us ko apni yu hi sunaate rehna,
din bahut kam hain tumhari zindagi ke "azeem",
aggar nafrat bhi kare tum us say mohabbat karte rehna,
zindagi ke kisi mod par pachhtaayegi wo bhi,
tum be khuli aankhoon se usay dekhte rehna,
khub dil lagaaya hai "molla" is be-parwa ke saath,
mar jaunga nahi hota mujh se jitey rehna,
jine ki baat hai is mein kia kahoo "azeem",
kismaat mein hai tumhari us ke liye tadappte rehna.
Submitted By: Bali on 09 -Jan-2010 | View: 1402
|