Bharatvarsh mahaan hai
Janm liya iss paawan desh ki,
dharti par abhimaan hai.
sabse pyara sabse nyaara,
Bharatvarsh mahaan hai.
Dhnya yahaan ki meethi boli,
dhnya yahaan ka pyar hai,
dhnya hai manavta ki pooja,
shradha aur satkaar hai.
yahaan ke santo-mahapurushon ka sab karte gun-gaan hain,
sabse pyara, sabse nyaara, Bharatvarsh mahaan hai.
yahaan sabhi tyohaaron ko,
miljul ke manaaya jaata hai,
Eid, Diwali, Guruparv sang,
Christmas sajaaya jaata hai.
yahaan sabhi dharmon ka karte,
sab mil kar sammaan hain.
sabse pyara, sabse nyaara, Bharatvarsh mahaan hai.
Desh ke iss khus haal vrichh ko,
jin haathon ne sinchaa hai,
jin ki kathin tpsya se hi,
mehka aaj bagicha hai.
unke nischhal desh-prem par, yeh jeevan qurbaan hai
sabse pyara, sabse nyaara, Bharatvarsh mahaan hai.
Poet: Dr. Mamta Khatri
Submitted By: Tarun on 09 -Aug-2010 | View: 6424
|