EverythingForCity.com  
Login Register
Login Register
Home | Entertainment | Our India | India Yellow Pages | Tools | Contact Us
Shayari | Quiz | SMS | Tongue Twister | Poem | Fact | Jokes
 
 
 
 
 
Home –› Entertainment –› Poem –›Diwali Poem
» Diwali Poem
Jyoti ki or

Deepon ka tyohaar ahaa! fir pyaar lutaane aaya hai,
jan-jeevan mein subh prakash ke phool khilaane aaya hai.

khili-khili hain sabhi dishaayein,
hansti huyi bahaarein hain,
wan-upwan mein sabke mann mein,
khushiyon ke fawaarein hain.

chalo jyoti ki or mantra yeh kan-kan ne fir gaaya hai,
deepon ka tyohaar ahaa! fir pyar lutaane aaya hai.

jyoti parv ka marm chhipa hai,
mann ki jyoti jagaane mein,
satya-nyaay ke subhaacharan ko,
pal-pratipal apnaanein mein,

jo bhi diya-sam jag mein maan usi ne paaya hai,
deepon ka tyohaar ahaa! fir pyar lutaane aaya hai.

Chalo deep hum wahin jagaayein,
ab bhi jahaan andhera hai,
sukh ke moti wahaan ugaayein,
jahaan dukhon ka dera hai.
yeh paawan sandesh parv yeh maavata-hit laaya hai,
deepon ka tyohaar ahaa! fir pyaar lutaane aaya hai.

Shram ke khile anaar-phooljhari,
chhute subh sadbhaaon ki,
mit jaaye andhiyaari saari,
jan-mann ke durbhaaon ki.

sabko yahi supath deepak ne jal kar swayan dikhaya hai,
deepon ka tyohaar ahaa! fir pyaar lutaane aaya hai.

Poem: Bhanudutt Tripathi 'maduresh'



दीपों का त्यौहार अहा! फिर प्यार लुटाने आया है,
जन-जीवन में शुभ प्रकाश के फूल खिलाने आया है.

खिली-खिली हैं सभी दिशायें,
हँसती हुई बहारें हैं,
वन-उपवन में सबके मन में,
खुशियों के फव्वारें हैं.

चलो ज्योति की ओर मंत्र यह कण -कण ने फिर गाया है,
दीपों का त्यौहार अहा! फिर प्यार लुटाने आया है.

ज्योति पर्व का मर्म छिपा है,
मन की ज्योति जगाने में,
सत्य-न्याय के सुभाचरण को,
पल -प्रतिपल अपनानें में,

जो भी दिया-सम जग में मान उसी ने पाया है,
दीपों का त्यौहार अहा! फिर प्यार लुटाने आया है.

चलो दीप हम वहीँ जगाएं,
अब भी जहाँ अँधेरा है,
सुख के मोती वहाँ उगायें,
जहाँ दुखों का डेरा है.
यह पावन सन्देश पर्व यह मानवता-हित लाया है,
दीपों का त्यौहार अहा ! फिर प्यार लुटाने आया है.

श्रम के खिले अनार-फूलझड़ी,
छूटे शुभ सद्भाओं की,
मिट जाए अंधियारी सारी,
जन -मन के दुर्भाओं की.

सबको यही सुपथ दीपक ने जल कर स्वयं दिखाया है,
दीपों का त्यौहार अहा ! फिर प्यार लुटाने आया है.

कविता : भानुदत्त त्रिपाठी 'मदुरेश'

Submitted By: Vivek on 11 -Oct-2010 | View: 6019
 
Related poem:
Browse Poem By Category
 
 
 
Menu Left corner bottom Menu right corner bottom
 
Menu Left corner Find us On Facebook Menu right corner
Menu Left corner bottom Menu right corner bottom