EverythingForCity.com  
Login Register
Login Register
Home | Entertainment | Our India | India Yellow Pages | Tools | Contact Us
Shayari | Quiz | SMS | Tongue Twister | Poem | Fact | Jokes
 
 
 
 
 
Home –› Entertainment –› Poem –›Old Age Poems
» Old Age Poems
Ehsaan na bhool jaayein

Jo buzurgon ne hum par kiye hain, inke ehsaan na bhool jaayein.
ban ke laathi sada chalein hum, farz apane hamesha nibhayein.

Doodh maa ne pila kar hai paala, thaam ungali pita ne chalaya.
raat-din karke dono ne seva, khud jage aur humko sulaaya.
aisi nishkaam ka badla, pyar-satkaar se hum chukaayein.
ban ke laathi...

Tum bano Doctor, judge, Minister, tum pe qurbaan ki punji saari.
pooj-paath aur namaaz adaa ki, chaahi har pal bhalaayi tumhari.
maari thokar to rab ko rusaaya, ki jo pooja to loge duaayaein.
ban ke laathi...

Shabd uncha kabhi Ram ji ne, aage maata-pita ke na bola.
sunate aaye hain Shravan ki gaatha, apane jeevan mein wo rang na ghola.
wo jo ji ke gaye zindgaani, oos pe chal ke jeewan sajaayein.
ban ke laathi...

Bees bandon ke jisane akele, har tarah se nibhaye the naate.
oos akele ko thoda sa bojha, milke saare utha nahi paate.
raah tu hi dikha ae khudaaya, bojh bandon ka bande uthaayein.
ban ke laathi...

Aaj ye hain jahaan kal tumhe bhi, iss dagar se gujarna padega.
beej boye hain jo kaatane ka, karm tumko bhi karna padega.
socho, samjho, zara naujwaanon, waqt rahate hi hum jaag jaayein.
ban ke laathi sada chalein hum, farz apane hamesha nibhayein.

Poem:Babu Omi

Submitted By: Vikram on 11 -Jun-2011 | View: 13437

Help in transliteration

 
Browse Poem By Category
 
 
 
Menu Left corner bottom Menu right corner bottom
 
Menu Left corner Find us On Facebook Menu right corner
Menu Left corner bottom Menu right corner bottom