Aaya rakhi ka tyohaar
Aaya rakhi ka tyohaar,
dekho bhaayi bahan ka pyaar,
kitni paawanta laaya hai,
baandh ke patla taar.
behana hansti muskaati,
aur pooja ka thaal sajaati,
bhaiya ki umar ho baras hazaar,
aaya rakhi ka tyohaar.
bhaiya deta yeh vachan,
raksha mein tan, mann, dhan,
jeevan bhi dega vaar,
aaya rakhi ka tyohar.
jaati dharm nahi vyavdhaan,
jaisi dharati khula aasmaan,
dhoop-chandani sa barse pyaar,
aaya rakhi ka tyohaar.
Poem:Gafur 'Snehi'
Submitted By: Varun on 02 -Nov-2010 | View: 19369
|