EverythingForCity.com  
Login Register
Login Register
Home | Entertainment | Our India | India Yellow Pages | Tools | Contact Us
Shayari | Quiz | SMS | Tongue Twister | Poem | Fact | Jokes
 
 
 
 
 
Home –› Entertainment –› Poem –›Save Trees Poem
» Save Trees Poem
Ped lagaao

yadi tum chaaho Bharat ke ho ghar-ghar mein khush-haali,
ped lagaao jagah-jagah par failaao hariyaali.

adhik ped honge dharati par adhik phool, phal hongein,
indhan, aushadhi ko paakar ke praani bhi khush honge.

prayavaran pradushan bhi to nahi fatkane paayega.
sheetal, shaghan, chhaon ko paakar, pathik, shramik sukh paayega.

geet sureele fir gaayegi koyal daali-daali.
ped lagaao jagah-jagah par failaao hariyaali.

har prakaar se ye maanav ke jeevan mein upyogi,
maanav ke ye sangi-saathi aur sada sahyogi.

dharati ki shobha hai is se, aur Anupam shringaar hai,
isiliye to dharati maan ko inse behad pyaar hai.

inse hai Bharati ki grima Bharat vaibhavshaali.
ped lagaao jagah jagah par failaao hariyali.


Poem: Shyamsundar Srivastav 'Komal'

Submitted By: Govind on 14 -Nov-2010 | View: 12537

Help in transliteration

 
Related poem:
Browse Poem By Category
 
 
 
Menu Left corner bottom Menu right corner bottom
 
Menu Left corner Find us On Facebook Menu right corner
Menu Left corner bottom Menu right corner bottom