Bharat desh humara pyara
Bharat desh humara pyara,
saare vishav se hai nyara.
alag alag hain roop rang,
alag alag jeene ka dhang,
par sabhi ek sur mein gaate,
jhanda uncha rahe humara.
har pradesh ki alag zubaan,
par mithaas ki unmein shaan,
anekata mein ekta pirokar,
sabne miljul desh sanwara.
lagaa raha hai bharat saara,
'Hum sab ek hain' ka naara.
Poem:Mahender Kumar Verma
Submitted By: Tarun on 05 -Nov-2010 | View: 9598
|