Aasmaan mein udi patang
Aasmaan mein udi patang.
dhaage ka pakada sang.
tej hawa ka kaam nahi.
shaant hawaa mein bahi rahi.
dhimi mand nahi tej.
taaron tak dije bhej.
chaand ki laaye khabar.
suraj to jalaa de par.
daav pench mein hai rang.
aasmaan mein udi patang.
neeli peeli hari hai.
titli hai, pari hai.
baadal barse bhigati--
saanjh dopahar ne dekhati hai.
parspar karti jang.
aasmaan mein udi patang.
dor se hai dor kate.
fisale to haath se kate.
bade dhyaan se rahein bhaayi.
khel mein na bhoolein padhaayi.
warna pade rang me bhang.
aasmaan mein udi patang.
Poem:Gafoor Snehi
आसमान में उड़ी पतंग.
धागे का पकड़ा संग.
तेज हवा का काम नहीं.
शांत हवा में बह रही.
धीमी मंद, नहीं तेज.
तारों तक दीजे भेज.
चाँद की लाये खबर.
सूरज तो जला दे पर.
दाव पेंच में है रंग.
आसमान में उड़ी पतंग.
नीली पीली हरी है.
तितली है, परी है.
बादल बरसे भीगती --
सांझ दोपहर न देखती.
परस्पर करती जंग.
आसमान में उड़ी पतंग.
डोर से है डोर कटे.
फिसले तो हाथ से कटे.
बड़े ध्यान से रहें भाई.
खेल में न भूलें पढाई.
वरना पड़े रंग में भंग.
आसमान में उड़ी पतंग.
कविता :गफूर स्नेही
Submitted By: Neha on 14 -Nov-2010 | View: 16046
|