Mera Bharat Desh mahaan
Desh banta tha jab tukdo mein,
Patel ne tha kiya tha yogdaan.
fir hua akhand sada ko,
mera Bharat desh mahaan.
Uttar mein Himalaya shobhit,
jo hai isaki uttam shaan.
dakshin mein sagar ki leharein,
karti hain isaka gungaan.
Bhasha boli alag alag hain,
fir bhi sabka hai samman.
purab se lekar paschim tak,
saara ik hai Hindustan.
Written By: Sanjay Kumar Chaturvedi Pardeep
Submitted By: Vikram on 07 -Jan-2012 | View: 17141
|