Pedon par hai gaati chidiya
Pedon par hai gaati chidiya,
mann ko bahut lubhaati chidiya,
sundar-sundar mithe swar mein,
gaati jaakar sabke ghar mein.
achhe-achhe raag sunaati,
sundar sundar dhun mein gaati.
sabhi dekh kar daud lagaate,
lekin usko pakad na paate.
pedon par hai gaati chidiya,
mann ko bahut lubhaati chidiya.
Poem: Vidya Prakash
Submitted By: Tarun on 26 -Oct-2010 | View: 7921
|