Roj savere chhat ke upar
Roj savere chhat ke upar,
bahut-si chidiyaan aati hain,
chun-chun-chun karke gaati,
humko geet sunaati hain.
apne madhur swaron mein gaakar,
sabka mann behalaati hain,
apne bachochon ke sang khel-khel kar,
hansti aur hansaati hain.
chhat par bikhare pade daano ko,
chun-chun kar wo khati hain,
ek-ek daana chun karke,
apne bachochon ko bhi khilati hain.
Poem: Raju Sahani
Submitted By: Sidharath on 31 -Oct-2010 | View: 10476
|