Main ek nanha sa baalak hun
Main ek nanha sa baalak hun,
sabka raajdulaara hun.
Papa ka main bahut laadla,
maa ki aankhon ka taara hun.
roj savere jaldi uthkar,
daant safaayi karta hun,
aur nahaata ragad-ragadkar,
aalas kabhi na karta hun.
bachchon ki sangat mein jaata,
bilkul nahi awaara hun,
Papa ka main bahut laadla,
maa ki aankhon ka taara hun.
bachchon ki sangat mein jaata,
bilkul nahi aawara hun,
Papa ka main bahut laadla,
maa ki aankhon ka taara hun.
hathon ko saabun se dhokar,
hi main bhojan karta hun.
gandi cheejein kabhi na khaata,
tabhi to aage badhta hun.
doodh phalon ka ras peeta hun,
khaata roj chhuaara hun,
Papa ka main bahut laadla,
maa ki aankhon ka taara hun.
nahin ladaayi dangaa karta,
sabse hilmil rehata hun,
aadar sabhi badon ka karta,
kaam samay par karta hun.
dadi ka laddu, dada ka chamkta hua sitaara hun.
Papa ka main bahut laadla,
maa ki aankhon ka taara hun.
Poem:Dr. Mamta Khatri
Submitted By: Vivek on 07 -Nov-2010 | View: 4694
|