Prem pyar se rehana achha
Prem pyar se rehana achha,
madhur bol hi kehana achha.
kapat aur chhal bharaa jagat mein,
aadambar se bachanaa achha.
apne shram ke balbute par,
manjil ko tay karna achha.
jhoothe ka munh kaala hota,
satya maarg par chalna achha.
asahaayon ki ho sahaayataa,
khudgarji se darna achha.
yaad hamesha kare zamaana,
chaand samaaj chamakana achha.
pichhe hatana kaayarta hai,
aage aage badhna achha.
Poem:Ghamandilal Aggarwal
Submitted By: Satish on 16 -Nov-2010 | View: 5149
|