Insaan Badalta Ja Raha
Aadmin kyon aaj ka, itna badlata ja raha,
jo hakikat hai nahi, usse bahalta ja raha.
Jhooth sach mein ab ise, dikhta nahi kuchh bhed hai,
yaa khuda! ye kaun se saanche mein dhalta jaa raha.
Ye shikayat se bhara, din raat karta hai gila,
dekhke sukh chain auron ka, machalta jaa raha.
Fark padta hai nahi, ansu bahe jo auro ke,
sukh hain mere kam, yahi kah kar fislta ja raha.
Sach se koson door hoke, waqt se majboor hoke,
iss jahaan mein raat din, yun hi tahalta ja raha.
Ya khuda ye ilteja hai, tere dam se ye fiza hai,
tu "Jatan" jab saath hai to, kyon dahalta ja raha.
Written BY:
Ashwani Kumar "Jatan"
Allahabad (U.P)
+91-9889060753
Submitted By: Vikram on 28 -Feb-2012 | View: 4778
|