Bharat desh humaara pyara
Bharat desh humaara pyara,
saare vishav se hai nyara.
alag-alag hain roop-rang,
par sabhi ek sur mein gaate,
jhanda uncha rahe humaara.
har pradesh ki alag jubaan,
par mithaas ki unme shaan,
anekta mein ekta pirokar,
sabne miljul desh sanwaara.
laga raha hai bharat saara,
'Hum sab ek hain' ka naara.
Poem:Mahender Kumar Verma
Submitted By: Jai Parkash on 05 -Nov-2010 | View: 13983
|