Salona bachapan
Sabka hai salona bachapan,
jaise ek khilauna bachapan.
saara jeevan mehakaata hai,
yaad ka koi kona bachapan.
apana bachapan bhi sundar tha,
sundar sapana sanjota bachapan.
aisa kaam karein hum sab,
khusiyon bhara ho humara bachapan.
jeevan dukhon ka bhojan hai,
par laddu ka dona hai bachapan.
Poem:Dr. Pradumn bhalaa
Submitted By: Sahil on 09 -Nov-2010 | View: 2815
|