Safar
Yun aksar beet raha zindgi ka safar
bachpan main bade hone ka khaab,
aur fir budhape ki nazar hum par,
Yun aksar beet raha zindgi ka safar
School se collage jaane ki aarju main,
aur fir sunne ko betaab naukri ki khabar,
Yun aksar beet raha zindgi ka safar
Kabhi tamnna thi saagar ko nihaarne ki pass se,
aur fir bebas ho jaati zindgi ban ke saagar ki lahar,
Yun aksar beet raha zindgi ka safar
Kabhi din gujate the gaaun se nikalne ki kashmokash main
aur fir hume apni jhuthi roshni main baandh deta ye sahar,
Yun aksar beet raha zindgi ka safar
Yun aksar beet raha zindgi ka safar
BY
Mehar Sharma
Submitted By: mehar on 30 -May-2013 | View: 4440
|