Chhutti hai prantu
Priksha ke baad, yeh rakhana yaad.
chhutti hai prantu samay na karein barbaad.
jis vishay mein kamjori rah gayi,
use door karna priksha kah gayi.
khud ko banaana majboot faulaad,
chhutti hai prantu samay na karein barbaad.
aalas ko fatakane mat dena paas,
api HOBBY mein chalne de abhyaas.
mauj majaa thoda sadupyog avkaash,
dharati se uchhlo to chhu lo aakash,
mann mein, prashantta mukhade par alhaad.
chhutti hai prantu samay na karein barbaad.
nana ke ghar Ludhiana Amritsar,
Dada dadi ke gaaon ka bhi chakkar.
Mausi buaa chachi taayi ke udhar,
RAIL BUS ghumein AEROPLANE par chadkar.
Chandigarh ho ya Ferozabad,
chhutti hai prantu samay na karein barbaad.
garmi ki loo lapaton se bachana,
khelana subah-shaam ko anganaa,
kabhi bhi magar na manaani karana,
kuchh bhi na karna, nahi kahaata hona azad,
chhutti hai prantu samay na karein barbaad.
Poem: Gafur 'Snehi'
Submitted By: Rajat on 14 -Nov-2010 | View: 8126
|