EverythingForCity.com  
Login Register
Login Register
Home | Entertainment | Our India | India Yellow Pages | Tools | Contact Us
Shayari | Quiz | SMS | Tongue Twister | Poem | Fact | Jokes
 
 
 
 
 
Home –› Entertainment –› Poem –›Politics Poem
» Politics Poem
Mash-hoor badmaash

CAR se utaraa mash-hoor badmaash,
ghumane laga mele mein.
ladane lagaa idhar-udhar
logon se akele mein.

darr ke maare log hone lage tital-bitar,
koi bhaag idhar koi bhaage udhar,
aur shor badhne laga mele mein.

fir woh dubaara ek aadami se lada,
tang aakar ek ladaki ne kaha.

ab nahi jata uska julm saha,

akad kar ghoom raha hai wo mele mein.
mil kar sab pito use akele mein.

uski baat sun kar sab bole,
dam hai is baat mein.

fir laharaane lagi BATA, LAKHANI, ACTION
aur RELAXO ki jutiaan haath mein.

dekh unhe uske tan par khaarish shuru ho gayi.
usne logo ko aankh kya dikhaayi,
uske upar juton ki baarish shuru ho gayi.

baith kar aaya tha badi shaan se apni kaar mein,
gunjane lagi thi uski ab ram duhaayi pure bazaar mein.

Submitted By: Sumit Rana on 18 -Nov-2010 | View: 3882

Help in transliteration

 
Related poem:
Browse Poem By Category
 
 
 
Menu Left corner bottom Menu right corner bottom
 
Menu Left corner Find us On Facebook Menu right corner
Menu Left corner bottom Menu right corner bottom