Aaj Ke Neta
Aaj ke netaaon mein to, sharm bilkul mar gaye hai,
Jo bhi chaahe aazma le, baat ye bilkul sahi hai,
Vote ki khaatir ye apne, baap ko bhi maar dein,
Vote milta ho to, gairon ko bhi apna pyar dein,
Vote lena ho to ghar ye chood kar jate nahi,
Jeet jate hain to ye, waapas nazar aate nahi,
Kuch bhi karke inko kewal, kursi hi bas chaahiye,
Gar mile kursi to kewal, leeliye aur khaayeye,
Bhukhi janta se inhe to, mooh bilkul hai nahi,
Gar mile hissa to, farzi bill bhi saare hain sahi,
Ye hain inki khubiyaan, hum mein "Jatan" ye aa na jayein,
Hey prabhu inse bachana, desh ko ye kanhi kha na jayein,
Written By:
Ashwani Kumar "Jatan"
Allahabad (Uttar Pradesh)
Submitted By: Vikram on 18 -Apr-2013 | View: 6477
|