Ek bhi khwab-e-tarab yad nahi
safar-e-manzil-e-shab yad nahi,
log rukhsat huye kab yad nahi,
dil mein har waqt chubhan rahti thi,
thi mujhe kis ki talab yad nahi,
wo sitara thi k shabnam thi k phul,
ik surat thi ajab yad nahi,
aisa uljha hun gam-e-duniya mein,
ek bhi khwab-e-tarab yad nahi
Submitted By: Deepak on 24 -Apr-2011 | View: 1298
Characters: 267
|